Shayari Hindi – Zamane Bhar Ki Ruswayian

Zamane Bhar Ki Ruswayian Aur Bechain Raten,
Ai Dil Kuch To Bata Ye Majraa Kya Hai.
जमाने भर की रुसवाईयाँ और बेचैन रातें,
ऐ दिल कुछ तो बता ये माजरा क्या है।
-Best Shayari Hindi-

Shayari Hindi, Zamane Bhar Ki Ruswayian


Phir Usi Ki Yaad Mein Dil Beqarar Hua Hai,
Bichhad Ke Jis Se Hui Shahar-Shahar Ruswayi.
फिर उसी की याद में दिल बेक़रार हुआ है,
बिछड़ के जिस से हुयी शहर-शहर रुसवाई।


Gujarate Lamhon Mein Sadiyan Talash Karta Hu,
Pyaas Itni Hai Ke Nadiyan Talash Karta Hun,
Yeha Par Log Ginate Hain Khubiyan Apni,
Main Apne Aap Mein Kamiyan Talash Karta Hun.
गुजरते लम्हों में सदियाँ तलाश करता हूँ,
प्यास इतनी है कि नदियाँ तलाश करता हूँ,
यहाँ पर लोग गिनाते है खूबियां अपनी,
मैं अपने आप में कमियाँ तलाश करता हूँ।


Wo Jinke Haath Mein Har Waqt Chhale Rehte Hain,
Aabagad Unhi Ke Dam Par Mahal Wale Rehte Hain.
वो जिनके हाथ में हर वक्त छाले रहते हैं,
आबाद उन्हीं के दम पर महल वाले रहते हैं।
-Two Line Hindi Shayari-


Main Fanaa Ho Gaya, Afsos Wo Badla Bhi Nahi,
Meri Chahato Se Bhi Sacchi Rahi Nafrat Uski.
मैं फना हो गया, अफसोस वो बदला भी नहीं,
मेरी चाहतों से भी सच्ची रही नफरत उसकी।

New Hindi Shayari, Main Fanaa Ho Gaya
Hindi Shayari – Main Fanaa Ho Gaya

Jo Teer Bhi Aata Wo Khali Nahi Jata,
Mause Mere Dil Se Sawali Nahi Jata,
Kaante He Kiya Karte Hain Phoolo Ke Hifazat,
Phoolo Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata.
जो तीर भी आता वो खाली नहीं जाता,
मायूस मेरे दिल से सवाली नहीं जाता,
काँटे ही किया करते हैं फूलों की हिफाज़त,
फूलों को बचाने कोई माली नहीं जाता।
-New Shayari Hindi-


Siyasat Ki Dukaano Mein Roshni Ke Liye,
Jaroori Hai Ke Mulk Mera Jalta Rahe.
सियासत की दुकानों में रोशनी के लिए,
जरूरी है कि मुल्क मेरा जलता रहे।


You may also like:

Leave a Reply