New Hindi Shayari – Jis Tarah Ki Duniya Us Tarah Ke Hum

Bematlab Ki Duniya Ka Kissa Hi Khatam,
Ab Jis Tarah Ki Duniya, Us Tarah Ke Hum.
बेमतलब की दुनिया का किस्सा ही ख़त्म,
अब जिस तरह की दुनिया उस तरह के हम।
-New Hindi Shayari-

New Hindi Shayari, Jis Tarah Ki Duniya


Der Tak Hansta Raha Un Par Hamara Bachpana,
Jab Tajurbe Aaye The Sanjeda Banaane Ke Liye.
देर तक हँसता रहा उन पर हमारा बचपना,
जब तजुर्बे आए थे संजीदा बनाने के लिए।


Waqt Kahta Hai Ki Mein Phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai Toh Iss Pal Ko Jeele,
Shayad Main Kal Tak Na Ruk Paunga.
वक्त कहता है कि मै फिर नहीं आऊंगा,
तेरी आँखों को अब न रुलाऊंगा,
जीना है तो इस पल को जी ले,
शायद मैं कल तक न रुक पाऊंगा।
-Hindi Shayari in English-


Mein Usse Maangta Kya Khoon Baha Jawaani Ka,
Ke Wo Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mile.
मैं उस से मांगता क्या खून बहा जवानी का,
कि वो भी आज मुझे अपना घर लुटा के मिले।


Ek Aanshu Bhi Hukumat Ke Liye Khatra Hai,
Tum Ne Dekha Nahi Aankhon Ka Samundar Hona.
एक आँसू भी हुकूमत के लिए ख़तरा है,
तुम ने देखा नहीं आँखों का समुंदर होना।

Hindi Shayari, Ek Aanshu Bhi Hukumat Ke Liye Khatra Hai
Best Two Line Hindi Shayari

Usko Rukhsat Toh Kiya Tha Mujhe Malum Na Tha,
Sara Ghar Le Gaya Ghar   Chod Ke Jaane Wala,
Ik Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sab Ki Duniya,
Koi Jaldi To Koi Der Se Jaane Wala.
उसको रुखसत तो किया था मुझे मालूम न था,
सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला,
इक मुसाफिर के सफर जैसी है सब की दुनिया,
कोई जल्दी तो कोई देर से जाने वाला।
-Best Hindi Shayari-


Sitaron Ko Shayad Khabar He Nahin,
Musafir Ne Jaane Kahan Raat Ki.
सितारों को शायद ख़बर ही नहीं,
मुसाफ़िर ने जाने कहाँ रात की।


You may also like:

Leave a Reply