Hindi Shayari – Kisi Ko Kahkar Apna Banaya Nahi Jata

Hone Wale Khud Hi Apne Ho Jaate Hain,
Kisi Ko Kahkar Apna Banaya Nahi Jata.
होने वाले ख़ुद ही अपने हो जाते हैं,
किसी को कहकर अपना बनाया नहीं जाता।
-Best Hindi Shayari-

Hindi Shayari, Kisi Ko Kahkar Apna Banaya Nahi Jata


Hamako Aazamane Ki Zrrat Nahin Kisi Ki,
Ham Khud Apani Taqdeer Likhte Hai,
Khuda Ki Likhawt Ko Badalna To Hamari Fitrat Hai,
Haar Ko Jeet Mein Badal Kar Hatho Ki Lakir Badlte Hai.
हमको आज़माने की ज़ुर्रत नहीं किसी की,
हम खुद अपनी तक़दीर लिखते है,
खुदा की लिखावट को बदलना तो हमारी फ़ितरत है,
हार को जीत में बदल कर हाथो की लकीर बदलते है।


Siyasat Ne Is Daur Mein Bhi Kamal Kar Diya,
Garibon Ko Garib, Amiron Ko Mala-Maal Kar Diya.
सियासत ने इस दौर में भी कमाल कर दिया,
गरीबों को गरीब, अमीरों को माला-माल कर दिया।
-Hindi Shayari-


Lade, Jhagde, Bhide, Kaate-Katein Shamsheer Ho Jayein,
Batein, Bantein, Chubhein Ek Dosre Ko Teer Ho Jayein,
Musalsal Qatl-O-Gaarat Ki Nayi Tasvir Ho Jayein,
Siyasat Chahti Hi Ham Aur Tum Kashmir Ho Jayein.
लड़ें, झगड़ें, भिड़ें, काटें, कटें, शमशीर हो जाएँ,
बटें, बाँटें, चुभे इक दुसरे को, तीर हो जाएँ,
मुसलसल कत्ल-ओ-गारत की नई तस्वीर हो जाएँ,
सियासत चाहती है हम और तुम कश्मीर हो जाएँ।


Mein Jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay Mein,
Mujhe Mila Bhi To Zalim Nazar Jhuka Ke Mila.
मैं जिसको ढूँढ रहा था नज़र के रास्ते में,
मुझे मिला भी तो ज़ालिम नज़र झुका के मिला।

Shayari in Hindi, Jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Rastay
Best Shayari in Hindi

Uski Aankhon Mein Najar Aata Hai Sara Jahan Mujhko,
Afsos Ke Un Aankhon Mein Kabhi Khud Ko Nahi Dekha.
उसकी आँखों में नज़र आता है सारा जहां मुझको,
अफ़सोस कि उन आँखों में कभी खुद को नहीं देखा।


Siyasat Ko Lahu Peene Ki Aadat Hai,
Varna Mulk Mein Sab Khairiyat Hai.
सियासत को लहू पीने की आदत है,
वरना मुल्क में सब ख़ैरियत है।
-Two Line Shayari in Hindi-


You may also like:

Leave a Reply