Life Shayari – Dil Mein Ajnabi Rog Liye Baithi Hun

Dil Mein Kuch Ajnabi Rog Liye Baithi Hun,
Zindagi Mein Kuch Matlabi Log Liye Baithi Hun.
दिल में कुछ अजनबी रोग लिए बैठी हूँ,
ज़िन्दगी में कुछ मतलबी लोग लिए बैठी हूँ।
-Life Shayari in Hindi-

Life Shayari, Dil Mein Ajnabi Rog Liye Baithi Hun


Thak Gayi Meri Zindagi Bhi
Logon Ko Jawab Dete Dete,
Kahin Ab Meri Maut Na
Logon Ka Sawal Ban Jaye.
थक गयी मेरी जिन्दगी भी
लोगों को जवाब देते-देते,
कहीं अब मेरी मौत ना
लोगों का सवाल बन जाये।


Roj-Roj Gir Kar Bhi Mukammal Khade Hain,
Ai Zindagi Dekh Mere Hausle Tujhse Bhi Bade Hain.
रोज-रोज गिर कर भी मुक़म्मल खड़े हैं,
ऐ ज़िन्दगी देख मेरे हौसले तुझसे भी बड़े हैं।


Kehti Hai Mujhe Zindagi,
Ki Main Aadatein Badal Lun,
Bahut Chala Main Logon Ke Peeche,
Ab Thoda Khud Ke Saath Chal Lun.
कहती हैं मुझे ज़िन्दगी,
कि मैं आदतें बदल लूँ,
बहुत चला मैं लोगों के पीछे,
अब थोड़ा खुद के साथ चल लूँ।
-Top Zindagi Shayari-


Zindagi Ki Daud Mein Kachcha Rah Gaya,
Nahin Seekha Fareb Bachcha Rah Gaya.
ज़िंदगी की दौड़ में कच्चा रह गया,
नहीं सीखा फ़रेब बच्चा रह गया।

Shayari on Life, Zindagi Ki Daud Mein Kachcha Rah Gaya
Best Shayari on Life

Zindagi Ek Haseen Khwab Hai,
Jisme Jeene Ki Chahat Honi Chahiye,
Gham Khud Khushi Me Badal Jayenge,
Sirf Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye.
ज़िन्दगी एक हसीन ख़्वाब है,
जिसमें जीने की चाहत होनी चाहिये,
ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये।
-New Life Shayari Hindi-


Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hun,
Yeh Kya Kam Hai Main Apni Pahchaan Bacha Paya Hun,
Kuch Ummidein, Kuch Sapne, Kuch Mahekti Yaadein,
Jeene Ka Main Itna Hi Saaman Bacha Paya Hun.
थोड़ी मस्ती थोड़ा सा ईमान बचा पाया हूँ,
ये क्या कम है मैं पहचान बचा पाया हूँ,
कुछ उम्मीदें, कुछ सपने, कुछ महकती यादें,
जीने का मैं इतना ही सामान बचा पाया हूँ।


You may also like:

Leave a Reply