Hindi Shayari – Saccha Pyar Chahe Do Pal Ke Liye Ho

Saccha Pyar Chahe Do Pal Ke Liye Ho,
Par Ehsaas Zindagi Bhar Ke Liye De Jata Hai.
सच्चा प्यार चाहे दो पल के लिए हो,
पर एहसास जिन्दगी भर के लिए दे जाता है।
-Best Hindi Shayari-

Hindi Shayari, Saccha Pyar Chahe Do Pal Ke Liye Ho


Bhulkar Mujhe Agar Tum Rehte Ho Salamat,
Toh Bhulke Tumko Sambhlna Mujhe Bhi Aata Hai,
Meri Fitrat Mein Yeh Aadat Nahi Hai Varna,
Teri Tarah Badal Jana Muhje Bhi Aata Hai.
भूलकर मुझे अगर तुम रहते हो सलामत,
तो भूल के तुमको संभलना मुझे भी आता है,
मेरी फ़ितरत में ये आदत नहीं है वरना,
तेरी तरह बदल जाना मुझे भी आता है।


Kanton Se Gujar Jata Hoon Daaman Bachakar,
Phoolon Ki Siyasat Se Main Begana Nahi Hoon.
काँटों से गुजर जाता हूँ दामन बचा कर,
फूलों की सियासत से मैं बेगाना नहीं हूँ।
-New Hindi Shayari-


Yaar Toh Ayina Hua Karte Hain Yaaron Ke Liye,
Tera Chehra Toh Abhi Tak Hai Naqaabon Wala,
Mujhse Hogi Nahi Duniya Ye Tizarat Dil Ki,
Main Karu Kya Mera Jahaan Hai Khwabon Wala.
यार तो आइना हुआ करते हैं यारों के लिए,
तेरा चेहरा तो अभी तक है नकाबों वाला,
मुझसे होगी नहीं दुनिया ये तिजारत दिल की,
मैं करूँ क्या कि मेरा जहान है ख्वाबों वाला।


Saham Uthhte Hain Kachche Makaan Paani Ke Khauf Se,
Mahalon Ki Aarzoo Yeh Hai Ke Barish Tej Ho.
सहम उठते हैं कच्चे मकान पानी के खौफ़ से,
महलों की आरज़ू ये है कि बारिश तेज हो।
-Two Line Shayari Hindi-

Best Hindi Shayari, Mahalon Ki Aarzoo Yeh Hai Ke Barish Tej Ho
Best Shayari in Hindi

Log Kehte Hain Piye Baitha Hun Main,
Khud Ko Madhosh Kiye Baitha Hun Main,
Jaan Baki Hai Wo Bhi Le Lijiye,
Dil To Pehle Hi Diye Baitha Hun Main.
लोग कहते हैं पिये बैठा हूँ मैं,
खुद को मदहोश किये बैठा हूँ मैं,
जान बाकी है वो भी ले लीजिये,
दिल तो पहले ही दिये बैठा हूँ मैं।


Samjhne Hi Nahi Deti Siyasat Mujh Ko Sachchai,
Kabhi Chehra Nahi Milta Kabhi Darpan Nahi Milta.
समझने ही नहीं देती सियासत मुझको सच्चाई,
कभी चेहरा नहीं मिलता कभी दर्पन नहीं मिलता।


You may also like:

Leave a Reply