Shayari on Tanhai – Muddatein Beeti Hain

Unse Mulakat Ke Silsile Kya Band Huye,
Muddatein Beeti Hain Aayine Se Rubaru Huye.
उनसे मुलाक़ात के सिलसिले क्या बन्द हुए,
मुद्दतें बीती हैं आईने से रूबरू हुए।
-Shayari on Tanhai in Hindi-

Shayari on Tanhai, Muddatein Beeti Hain


Tanhayi Ke Ye Kuch Aisi Ajab Raat Hai,
Tujhse Judi Hui Har Yaad Mere Saath Hai,
Tadap Raha Hai Tanha Chaand Bina Chaandni Ke,
Is Andheri Raat Mein Aaj Kuch Aur Baat Hai.
तन्हाई की ये कुछ ऐसी अजब रात है,
तुझसे जुडी हुई हर याद मेरे साथ है,
तड़प रहा है तनहा चाँद बिना चांदनी के,
इस अंधेरी रात में आज कुछ और बात है।


Aata Nahi Hai Jeena Us Nadan Ke Bagair,
Kash Us Shakhs Ne Marna Bhi Sikhaya Hota.
आता नहीं है जीना उस नादान के बगैर,
काश उस शख्स ने मरना भी सिखाया होता।


Bichadne Ka Gam Hame Maloom Hua,
Ki Tanhai Bhi Koi Cheez Hai,
Fariyad Zindagi Ki Ham,
Unki Mahfil Mein Gujar Aaye.
बिछड़ने का गम हमे मालूम हुआ,
कि तन्हाई भी कोई चीज है,
फरियाद ज़िन्दगी की हम,
उनकी महफ़िल में गुजार आये।


Aankhein Footein Jo Jhapakti Bhi Hon,
Shab-E-Tanhai Mein Kaisa Sona.
आँखें फूटें जो झपकती भी हों,
शब-ए-तन्हाई में कैसा सोना।
-Alone Shayari 2 Lines Hindi-


Agar Fursat Ke Lamhon Mein,
Mujhe Yaad Karte Ho,
To Mujhe Yaad Mat Karna,
Main Tanha Jarur Hun Magar Fijol Nahi.
अगर फुर्सत के लम्हों में,
मुझे याद करते हो,
तो मुझे याद मत करना,
मैं तन्हा ज़रूर हूँ मगर फिजूल नहीं।

Alone Shayari Hindi, Tanha Jarur Hun Magar Fijol Nahi
Alone Shayari in Hindi

Tum Jab Aaoge Toh Khoya Hua Paoge Mujhe,
Meri Tanhai Mein Khawabo Ke Siwa Kuch Bhi Nahin,
Mere Kamre Ko Sajaane Ki Tamanna Hai Tumhein,
Mere Kamre Mein Kitabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahin.
तुम जब आओगे तो खोया हुआ पाओगे मुझे,
मेरी तन्हाई में ख़्वाबों के सिवा कुछ भी नहीं,
मेरे कमरे को सजाने कि तमन्ना है तुम्हें,
मेरे कमरे में किताबों के सिवा कुछ भी नहीं।
-Best Shayari on Tanhai-


You may also like:

Leave a Reply