Dosti Shayari in Hindi – Dosti Zaraasi Nadaan Hoti Hai

Dosti Har Chehre Ki Muskaan Hoti Hai,
Dosti Hi Sukh-Duhkh Ki Pahachaan Hoti Hai,
Koi Ruth Bhi Jaaye To Dil Pe Mat Lena,
Kyonki Dosti Zaraasi Nadaan Hoti Hai.
दोस्ती हर चेहरे की मुस्कान होती है,
दोस्ती ही सुख-दुःख की पहचान होती है,
कोई रूठ भी जाये तो दिल पे मत लेना,
क्योंकि दोस्ती ज़रासी नादान होती है।
-Best Dosti Shayari in Hindi-

Dosti Shayari In Hindi, Dosti Zaraasi Nadaan Hoti Hai


Ham Wo Phool Hain Jo Roz Nahin Khilte,
Ye Wo Honth Hain Jo Kabhi Nahi Silte,
Hamse Bichhdoge To Ehsaas Hoga Tumhen,
Ham Wo Dost Hain Jo Roz-Roz Nahin Milte.
हम वो फूल हैं जो रोज़ नहीं खिलते,
ये वो होंठ हैं जो कभी नहीं सिलते,
हमसे बिछड़ोगे तो एहसास होगा तुम्हें,
हम वो दोस्त हैं जो रोज़-रोज़ नहीं मिलते।


Daag Duniya Ne Diye Zakhm Zamane Se Mile,
Hamko Tohafe Ye Tumhein Dost Banaane Se Mile.
दाग दुनिया ने दिए ज़ख्म ज़माने से मिले,
हमको तोहफे ये तुम्हें दोस्त बनाने से मिले।
-Best Friendship Status Shayari-


Shayad Phir Se Wo Takadeer Mil Jaaye,
Zindagi Ke Wo Haseen Pal Mil Jaayein,
Chal Phir Se Baithe Class Ki Last Bench Par,
Shayad Vaapas Wo Puraane Dost Mil Jaayein.
शायद फिर से वो तक़दीर मिल जाए,
जीवन के वो हसीन पल मिल जाए,
चल फिर से बैठे क्लास की लास्ट बैंच पर,
शायद वापस वो पुराने दोस्त मिल जाए।


Zindagi Mein Kabhi Hamaari Dosti
Ke Baare Mein Shak Ho To,
Akele Mein Ek Sikka Uchhalna,
Agar Hed Aaya To Ham Dost,
Aur Tel Ayaa To Palat Dena Yaar,
Akele Mein Kaun Dekhta Hai.
ज़िन्दगी में कभी हमारी दोस्ती
के बारे में शक हो तो,
अकेले में एक सिक्का उछालना,
अगर हेड आया तो हम दोस्त,
और टेल आया तो पलट देना यार,
अकेले में कौन देखता है।

Shayari on Friendship, Zindagi Mein Kabhi Hamaari Dosti Ke Baare Mein Shak Ho To
Shayari on Friendship

Khushi Se Beete Har Din Har Suhaani Raat Ho,
Jis Taraf Aapke Kadam Pade Phoolon Ki Barsaat Ho.
ख़ुशी से बीते हर दिन, हर सुहानी रात हो,
जिस तरफ आपके कदम पड़े फूलों की बरसात हो।
-New Dosti Shayari in Hindi-


Khamoshiyon Mein Dhimi See Aawaaz Hai,
Tanhaiyon Mein Bhi Ek Gehra Raaz Hai.
Milate Nahin Hain Sabako Achchhe Dost Yahan.
Aap Jo Mile Ho Hamein Khud Par Naaz Hai.
खामोशियों में धीमी सी आवाज़ है,
तन्हाईयों में भी एक गहरा राज़ है,
मिलते नहीं हैं सबको अच्छे दोस्त यहाँ,
आप जो मिले हो हमें खुद पर नाज़ है।


You may also like:

Leave a Reply