Alone Shayari – Tanhai Ko Mera Shauk Mat Samajhna

Meri Tanhai Ko Mera Shauk Mat Samajhna,
Bahut Pyaar Se Diya Hai Ye Tohfa Kisi Ne.
मेरी तन्हाई को मेरा शौक मत समझना,
बहुत प्यार से दिया है ये तोहफा किसी ने।
-New Alone Shayari in Hindi-

Alone Shayari, Tanhai Ko Mera Shauk Mat Samajhna


Chala Jaunga Jaise Ḳhud Ko Tanha Chooḍ Kar,
Main Apne AapKo Raaton Mein Uth Kar Dekh Leta Hoon.
चला जाऊंगा जैसे खुद को तन्हा छोड़ कर,
मैं अपने आपको रातों में उठकर देख लेता हूँ।


Aaghosh Mein Le Lo Mujhe Bahut Akela Hoon Main,
Basa Lo Dil Ki Dhadkan Mein Akela Hoon Main,
Jo Tum Nahi Zindagi Mein To Fir Kuch Bhi Nahi,
Sama Jao Mujh Mein Ki Akela Hoon Main.
आगोश में ले लो मुझे बहुत अकेला हूँ मैं,
बसा लो दिल की धड़कन में अकेला हूँ मैं,
जो तुम नहीं ज़िन्दगी में तो फिर कुछ भी नहीं,
समा जाओ मुझमें कि अकेला हूँ मैं।


Shaam Khali Hai Jaam Khali Hai,
Lagta Hai Zindagi Yoon Hi Gujarne Wali Hai.
शाम खाली है जाम खाली है,
लगता है ज़िन्दगी यूँ गुज़रने वाली है।
-Best Alone Shayari-


Kitne Chahare Kitni Shaklen Phir Bhi Tanhai Wahi,
Kaun Le Aaya Mujhe In Aainon Ke Dermiyan.
कितने चेहरे कितनी शक्लें फिर भी तन्हाई वही,
कौन ले आया मुझे इन आईनों के दरमियाँ।

Alone Shayari in Hindi, Phir Bhi Tanhai Wahi
Alone Shayari in Hindi

JagMagate Shaher Ki Galiyon Mein Kya Na Tha,
Dhoondne Nikla Tha Jisko Bas Wohi Chehra Na Tha,
Hum Wahi, Tum Bhi Wahi, Mausam Wahi, Manzar Wahi,
Fasle Badh Jaayenge Itne Maine Kabhi Socha Na Tha.
जगमगाते शहर की गलियों में क्या न था,
ढूँढ़ने निकला था जिसको बस वही चेहरा न था,
हम वही, तुम भी वही, मौसम वही, मंज़र वही,
फ़ासले बढ़ जायेंगे इतने मैंने कभी सोचा न था।
-Tanhai Hindi Shayari-


Kya Karenge Mehfilon Mein Hum Bata,
Mera Dil Rehta Hai Kafilon Mein Akela.
क्या करेंगे महफिलों में हम बता,
मेरा दिल रहता है काफिलों में अकेला।


You may also like:

Leave a Reply