Fir Muqaddar Ki Lakeron Mein Likh Diya Intezaar,
Fir Wohi Raat Ka Aalam Aur Main Tanha-Tanha.
फिर मुक़द्दर की लकीरों में लिख दिया इंतज़ार,
फिर वही रात का आलम और मैं तन्हा-तन्हा।
-New Intezaar Shayari in Hindi-
Tamaam Umar Yu He Ho Gayi Basar Meri,
Shabe-Firak Gayi, Roje-Intezaar Aaya.
तमाम उम्र यूँ ही हो गयी बसर मेरी,
शबे-फिराक गयी, रोजे-इंतज़ार आया।
Tere Intezaar Ke Maare Hai Hum,
Sirf Teri He Yaado Ke Sahare Hai Hum,
Tujhe Chaha Tha Jitna Is Duniya Se,
Or Aaj Tere He Haatho Haare Hai Hum.
तेरे इंतज़ार के मारे है हम,
सिर्फ तेरी ही यादो के सहारे है हम,
तुझे चाहा था जितना इस दुनिया से,
और आज तेरे ही हाथो हारे है हम।
-Best Intezaar Shayari-
Sari Rat Gujari Hamne Esi Intezaar Mein,
Ki Ab To Chand Niklega Aadhi Rat Mein.
सारी रात गुजारी हमने इसी इंतजार में,
कि अब तो चाँद निकलेगा आधी रात में।
Kishton Mein Khudkushi Kar Rahi Hai Ye Zindagi,
Intezaar Uska Mujhe Pura Marne Bhi Nahi Deta.
किश्तों में खुदखुशी कर रही है ये ज़िन्दगी,
इंतज़ार उसका मुझे पूरा मरने भी नहीं देता।
-Latest Shayari on Intezaar-
Mujhe Har Pal Tera Intezaar Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain,
Ki Tu Dil Mein Dhadkan Banke Rehta Hai.
मुझे हर पल तेरा इंतज़ार रहता है,
हर लम्हा मुझे तेरा एहसास रहता है,
तुझ बिन धडकनें रुक सी जाती हैं,
कि तू दिल में धड़कन बनके रहता है।
Shabe-Intezar Ke Kashmkash Mein Na Puch Kaise Sahar Hui,
Kabhi Ek Chirag Jala Diya Kabhi Ek Chirag Bujha Diya.
शबे-इंतज़ार की कशमकश में न पूछ कैसे सहर हुई,
कभी एक चिराग जला दिया कभी एक चिराग बुझा दिया।
-Waiting Shayari Hindi-
You may also like: