Aansu Shayari in Hindi – Aansu Beh Rahe Hain

Kya Likhu Main Dil Ki Haqeeqat Aarzoo Behosh Hai,
Khat Par Aansu Beh Rahe Hain Aur Kalam Khamosh Hai.
क्या लिखूं मैं दिल की हकीकत आरजू बेहोश है,
ख़त पर आँसू बह रहे हैं और कलम खामोश है।
-New Aansu Shayari Hindi-

Aansu Shayari in Hindi - Aansu Beh Rahe Hain


Kaash Aasuon Ke Saath Yaadein Bhi Beh Jati,
Toh Ek Din Tasalli Se Baith Kar Ro Lete.
काश आँसुओ के साथ यादें भी बह जाती,
तो एक दिन तसल्ली से बैठ कर रो लेते।


Wo Iss Tarah Muskura Rahe The,
Jaise Koi Gham Chhupa Rahe The,
Barish Mein Bheeg Ke Aaye The Milne,
Shayad Wo Aansoo Chhupa Rahe The.
वो इस तरह मुस्कुरा रहे थे,
जैसे कोई गम छुपा रहे थे,
बारिश में भीग के आये थे मिलने,
शायद वो आँसू छुपा रहे थे।


Fir Aaj Aansuon Mein Nahayi Huyi Hai Raat,
Shayad Humari Tarah Hi Sataayi Huyi Hai Raat.
फिर आज आँसुओं में नहाई हुई है रात,
शायद हमारी तरह ही सताई हुई है रात।
-Aansu Shayari in Hindi-


Kaun Kehta Hai Ke Aashuon Mein Wazan Nahin Hota,
Ek Bhi Chhalak Jata Hai Toh Man Halka Ho Jata Hai.
कौन कहता है कि आंसुओं में वज़न नहीं होता,
एक भी छलक जाए तो मन हल्का हो जाता है।

Aansu Shayari 2 Lines, Aashuon Mein Wajan Hai Hota
Aansu Shayari 2 Lines – Aashuon Mein Wajan Hai Hota

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Dava Nahi,
Phir Bhi Khush Hun Mujhe Uss Se Koi Gila Nahi,
Aur Kitne Aansu Bahaun Main Uss Ke Liye,
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Main Likha Nahi.
मुझको ऐसा दर्द मिला जिसकी दवा नहीं,
फिर भी खुश हूँ मुझे उस से कोई गिला नहीं,
और कितने आंसू बहाऊँ मैं उसके लिए,
जिसको खुदा ने मेरे नसीब में लिखा नहीं।
-Tears Shayari Hindi-


Apne He Hathon Se Jala Diya Apna Ghar,
Kehna Usse Aur Ek Kaam Tera Kar Diya.
अपने ही हाथों से जला दिया अपना घर,
कहना उससे और एक काम तेरा कर दिया।


You may also like:

Leave a Reply