Shayari on Intezaar – Jiska Inhein Intezaar Hai

Meri Aankhein Kuchh Talaashti Rehti Hain,
Koi To Hai Jiska Inhein Intezaar Hai.
मेरी आँखे कुछ तलाशती रहती हैं,
कोई तो है जिसका इन्हें इंतजार है।
-Best Shayari on Intezaar-

Shayari on Intezaar, Jiska Inhein Intezaar Hai


Khatam Hone Ko Hai Dekho Ye Chiragon Ka Safar,
Ab To Aa Jao Ki Jalne Laga Hai Dil Mera.
खत्म होने को है देखो ये चिरागों का सफर,
अब तो आ जाओ की जलने लगा है दिल मेरा।


Yun Palke Bichha Kar Tera Intezaar Karta Hun,
Yah Wo Gunah Hai Jo Main Baar Baar Karta Hun,
Jalakar Hasrat Ki Raah Par Chiraag,
Main Subah Aur Sham Tere Milne Ka Intezaar Karta Hun.
यूँ पलके बिछा कर तेरा इंतज़ार करता हूं,
यह वो गुनाह है जो मैं बार बार करता हूं,
जलाकर हसरत की राह पर चिराग,
मैं सुबह और शाम तेरे मिलने का इंतज़ार करता हूं।


Intezare-Fasle-Gul Mein Kho Chuke Aankhon Ka Noor,
Aur Bahaare-Baag Leti Hi Nahi Aane Ka Naam.
इंतज़ारे-फस्ले-गुल में खो चुके आँखों के नूर,
और बहारे-बाग लेती ही नहीं आने का नाम।
-Shayari on Intezaar Hindi-


Ek Pal Ke Liye Meri Najron Ke Saamne Aaja,
Ek Muddat Se Maine Khud Ko Ayine Mein Nahi Dekha.
एक पल के लिए मेरी नजरों के सामने आजा,
एक मुद्दत से मैंने खुद को आईने में नहीं देखा।

Intezaar Shayari, Ek Pal Ke Liye Meri Najron Ke Saamne Aaja
Intezaar Shayari in Hindi

Udaas Aankhon Mein Qaraar Dekha Hai,
Pehli Baar Use Beqaraar Dekha Hai,
Jise Khabar Na Hoti Thi Hamare Aane Ki,
Uski Aankho Main Ab Intezar Dekha Hai.
उदास आँखों में करार देखा है,
पहली बार उसे बेक़रार देखा है,
जिसे खबर ना होती थी हमारे आने की,
उसकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।
-Latest Intezaar Shayari-


Palko Pe Ruk Gya Hai Smundar Khumaar Ka,
Kitna Ajab Nsa Hai Uske Intezaar Ka.
पलकों पे रुक गया है समुन्दर ख़ुमार का,
कितना अजब नशा हैं उसके इंतजार का।


You may also like:

Leave a Reply