Aankhen Shayari – Mast-Mast Aankhon Se

Khuda Bachaye Unki Mast-Mast Aankhon Se,
Farishta Ho To Bahek Jaye Aadmi Kya Hai.
ख़ुदा बचाए उनकी मस्त-मस्त आँखों से,
फ़रिश्ता हो तो बहक जाए आदमी क्या है।
-Aankhen Shayari in Hindi-

Aankhen Shayari, Mast-Mast Aankhon Se


Aankh Jab Band Kiya Karate Hain,
Samne Aap Hua Karte Hain,
Aap Jaisa He Mujhe Lagta Hai,
Khawab Mein Jisse Mila Karte Hain.
आँख जब बंद किया करते हैं,
सामने आप हुआ करते हैं,
आप जैसा ही मुझे लगता है,
ख्वाब में जिससे मिला करते हैं।


Aa Gaya Hai Fark Unki Najro Me Yakinan,
Ab Ek Khash Andaaz Se Najar-Andaz Karte Hai.
आ गया है फर्क उनकी नज़रों में यकीनन,
अब एक खास अंदाज़ से नज़र-अंदाज़ करते है।


Madhosh Aankhon Se Wo Jab Hamen Dekhte Hain,
Hum Ghabra Ke Apni Palken Jhuka Lete Hain,
Kaise Milaye Hum Un Aankhon Se Aankhein,
Suna Hai Wo Aankhon Se Apna Bana Lete Hain.
मदहोश आंखो से वो जब हमें देखते हैं,
हम घबरा के अपनी पलके झुका लेते हैं,
कैसे मिलाए हम उन आँखों से आँखें,
सुना है वो आँखों से अपना बना लेते हैं।


Najar Jiski Taraf Karke Nihagein Fer Lete Ho,
Qayamat Tak Us Dil Ke Pareshani Nahi Jati.
नजर जिसकी तरफ करके निगाहें फेर लेते हो,
कयामत तक उस दिल की परेशानी नहीं जाती।
-2 Lines Aankhen Shayari-


Ada Hai, Khwab Hai, Takseem Hai, Tamasha Hai,
Teri In Aankhon Mein Ek Shakhs Betahasha Hai.
अदा है, ख्वाब है, तकसीम है, तमाशा है,
तेरी इन आँखों में एक शख्स बेतहाशा है।

Aankhon Mein Ek Shakhs Betahasha Hai, Aankhen Shayari
नज़र शायरी हिन्दी

Dewane Hain Tere, Is Baat Se Inkaar Nahin,
Kaise Kahe Ki Hamein Tumse Pyar Nahin,
Kuch To Kasoor Hai Teri In Aankhon Ka,
Ham Akele To Gunhagaar Nahin.
दीवाने हैं तेरे, इस बात से इंकार नहीं,
कैसे कहे कि हमें तुमसे प्यार नहीं,
कुछ तो कसूर है तेरी इन आँखों का,
हम अकेले तो गुनहगार नहीं।
-Best Aankhen Shayari-


You may also like:

Leave a Reply