Sundarta Shayari – Andaaz-E-Karam Kya Kahiye

Parda-E-Lutf Mein Ye Zulm-O-Sitam Kya Kahiye,
Haye Zaalim Tera Andaaz-E-Karam Kya Kahiye.
पर्दा-ए-लुत्फ़ में ये ज़ुल्म-ओ-सितम क्या कहिए,
हाय ज़ालिम तेरा अंदाज़-ए-करम क्या कहिए।
-Sundarta Shayari in Hindi-

Sundarta Shayari, Andaaz-E-Karam Kya Kahiye


Us Husn-E-Bemisaal Ko Dekha Na Aaj Tak,
Jis Ke Tasawwuraat Ne Jeena Sikha Diya.
उस हुस्न-ए-बेमिसाल को देखा न आज तक,
जिस के तसुव्वरात ने जीना सिखा दिया।


Taras Gaye Aapke Deedar Ko,
Dil Phir Bhi Aapka Intezaar Karta Hai,
Humse Accha To Aapke Ghar Ka Aaina Hai,
Jo Har Roz Aapke Husn Ka Deedar Karta Hai.
तरस गये आपके दीदार को,
दिल फिर भी आपका इंतज़ार करता है,
हमसे अच्छा तो आपके घर का आईना है,
जो हर रोज आपके हुस्न का दीदार करता है।
-Shayari on Beauty Status-


Nigaah-E-Yaar Pe Palko Ki Lagaam Na Ho,
Badan Mein Dur Talak Zindgi Ka Naam Na Ho.
निगाह-ए-यार पे पलकों की अगर लगाम न हो,
बदन में दूर तलक ज़िन्दगी का नाम न हो।


Ajaa Tujhe Asmaan Mein Le Chalun,
Chand Ko Uski Aukaat Dikhne.
आजा तुझे आसमान में ले चलूँ,
चाँद को उसकी औकात दिखाने।


Wo Benaqab Phirti Hai Gali-Kuchon Mein,
To Kaise Shahar Ke Logon Mein Qatl-E-Aam Na Ho.
वो बेनकाब जो फिरती है गली-कूंचों में,
तो कैसे शहर के लोगों में क़त्ल-ए-आम न हो।
-Khubsurti Ki Tareef Shayari-


Khwahish Hai Meri Sirf Tumhein Pane Ki,
Aur Koi Chahat Nahin Is Deewane Ki,
Shikwa Mujhe Tumse Nahin, Us Rab Se Hai,
Kya Jarurat Thi, Tumhen Khoobsurat Banane Ki.
ख्वाहिश है मेरी सिर्फ तुम्हें पाने की,
और कोई चाहत नहीं इस दीवाने की,
शिकवा मुझे तुमसे नहीं, उस रब से है,
क्या जरूरत थी, तुम्हें खूबसूरत बनाने की।

Beauty Shayari in Hindi, Jarurat Thi Tumhen Khoobsurat Banane Ki


Na Kar Ai Baghban Shikwa Gulabon Ki Beniyazi Par,
Haseen Jo Bhi Hote Hain Jara Magroor Hote Hain.
न कर ऐ बागबां शिकवा गुलाबों की बेनियाज़ी पर,
हसीन जो भी होते हैं जरा मगरूर होते हैं।
-New Sundarta Shayari-


Ye Gesuon Ki Ghatayein Yeh Labon Ke Maikhane,
Nigaah-E-Shauq Khudaya Kahan-Kahan Thehre.
ये गेसुओं की घटाएं ये लबों के मैखाने,
निगाहे-शौक खुदाया कहाँ-कहाँ ठहरे।


You may also like:

Leave a Reply