Aankhein Shayari in Hindi – Adhuri Hai Aankhon Ki Baat

Aankhon-Aankhon Mein Gujre Hai Ye Raat,
Abhi Bhi Shayad Adhuri Hai Aankhon Ki Baat.
आँखों-आँखों में गुजरी है ये रात,
अभी भी शायद अधूरी है आँखों की बात।
-New Aankhein Shayari in Hindi-

Aankhein Shayari in Hindi, Adhuri Hai Aankhon Ki Baat


Hum Bhatakte Rahe The Anjaan Raahon Mein,
Raat Din Kaat Rahe The Yun Hi Bas Aahon Mein,
Ab Tamanna Hui Hai Phir Se Jeene Ki Humein,
Kuch Baat Toh Hai Sanam Teri In Nigahon Mein.
हम भटकते रहे थे अनजान राहों में,
रात दिन काट रहे थे यूँ ही बस आहों में,
अब तमन्ना हुई है फिर से जीने की हमें,
कुछ बात तो है सनम तेरी इन निगाहों में।


Mere Dil Ko Ishq Ka Khwab Dikhata Hai,
Wo Raton Mein Mujhe Bahut Jagata Hai,
Main Apani Aankhon Mein Kajal Lagaun Kaise,
In Aankhon Ko Wo Rulata Bahut Hain.
मेरे दिल को इश्क़ का ख्वाब दिखाता है,
वो रातों में मुझे बहुत जगाता है,
मैं अपनी आँखों में काजल लगाऊं कैसे,
इन आँखों को वो रुलाता बहुत हैं।


Ek Nazar Fer Le Jeene Ki Izazat De De,
Ruthne Wale Wo Pehli Si Mohabbat De De.
एक नजर फेर ले जीने की इजाजत दे दे,
रुठने वाले वो पहली सी मोहब्बत दे दे।
-Best Aankhein Shayari 2 Lines-


Mehfil Ajeeb Hai Na Ye Manzar Ajeeb Hai,
Jo Usne Chalaya Wo Khanjar Ajeeb Hai,
Na Doobne Deta Hai Na Ubarne Deta Hai,
Uski Aankhon Ka Wo Samandar Ajeeb Hai.
महफिल अजीब है, ना ये मंजर अजीब है,
जो उसने चलाया वो खंजर अजीब है,
ना डूबने देता है, ना उबरने देता है,
उसकी आँखों का वो समंदर अजीब है।


Aaj Bhi Pyari Hai Mujhe,
Teri Di Hui Har Nisani,
Fir Chahe Wo Tere Diye Huye Gulaab Ho,
Ya Meri Aankhon Ka Paani.
आज भी प्यारी है मुझे,
तेरी दी हुई हर निशानी,
फिर चाहे वो तेरे दिए गुलाब हो,
या मेरी आँखों का पानी।

Aankhein Shayari, Meri Aankhon Ka Paani
Best Shayari on Najar in Hindi

Wo Ankhon Main Kajal Wo Balon Main Gjra,
Hatheli Pe Uske Hina Mehki-Mehki,
Ye Kaun Aa Gayi Dilruba Mehki-Mehki,
Fiza Mehki-Mehki Hwa Mehki-Mehki.
वो आंखो में काजल वो बालों में गजरा,
हथेली पे उसके हिना महकी-महकी,
ये कौन आ गयी दिलरुबा महकी-महकी,
फ़िजा महकी -महकी हवा महकी-महकी।
-Aankhein Shayari Hindi-


You may also like:

Leave a Reply