Aankhen Shayari – Aankhon Mein Haya Ho To

Aankhon Mein Haya Ho To,
Pardaa Dil Ka Hee Kaafi Hai,
Nahin To Naqaab Se Bhi Hote Hain
Ishaare Mohabbat Ke.
आँखों में हया हो तो,
पर्दा दिल का ही काफी है,
नहीं तो नक़ाब से भी होते हैं,
इशारे मोहब्बत के।
-Aankhen Shayari Hindi Me-

Aankhein Shayari, Aankhon Mein Haya Ho To


Main Un Aankhon Ke Maikhaane
Mein Kuchh Der Baitha Tha,
Mujhe Duniya Aaj Bhi Nashe
Ka Aadi Bataati Hai.
मैं उन आँखों के मैख़ाने
में कुछ देर बैठा था,
मुझे दुनिया आज भी नशे
का आदी बताती है।


Shayari Mein Jo Likhe The Lafz Saare Fhike Se The Mere,
Shayari To Darasal Teri Un Aankhon Mein Thi.
शायरी में जो लिखे थे लफ़्ज़ सारे फीके से थे मेरे,
शायरी तो दरअसल तेरी उन आँखों में थी।
-Aankhen Shayari 2 Lines-


Ankhon Ne Mahsoos Kiya Us Hawa Ko,
Jo Tumhe Choo Kar Hamare Paas Aayi Hai.
आँखों ने महसूस किया उस हवा को,
जो तुम्हे छू कर हमारे पास आयी है।

Aankhein Shayari, Ankhon Ne Mahsoos Kiya Us Hawa Ko
Shayari on Aankhein

Uss Ghadi Dekho Unaka Aaalam,
Neend Se Jab Hon Bhojhal Aankhein,
Kaun Meri Najar Mein Samaaye,
Dekhi Hain Maine Tumhari Aankhein.
उस घड़ी देखो उनका आलम,
नींद से जब हों बोझल आँखें,
कौन मेरी नजर में समाये,
देखी हैं मैंने तुम्हारी आँखें।
-Best Aankhen Shayari in Hindi-


Shor Na Kar Dhadkan Zara,
Tham Ja Kuch Pal Ke Liye,
Badi Mushkil Se Meri Aankhon
Mein Uska Khwab Aaya Hai.
शोर न कर धड़कन ज़रा,
थम जा कुछ पल के लिए,
बड़ी मुश्किल से मेरी आखों
में उसका ख्वाब आया है।


You may also like:

Leave a Reply