Very Sad Shayari – Tumhe Pa Lete Isi Janam Mein

Tumhe Pa Lete To Kissa Isi Janam Mein Khatm Ho Jata,
Tumhe Khoya Hai To Yakinan Kahani Lambi Chalegi.
तुम्हें पा लेते तो किस्सा इसी जन्म में खत्म हो जाता,
तुम्हे खोया है तो यकीनन कहानी लम्बी चलेगी।
-Very Sad Shayari Two Line-

Very Sad Shayari, Tumhe Pa Lete Isi Janam Mein


Khoya Itna Kuch Ke Humein Pana Na Aaya,
Pyaar Kar To Liya Par Jatana Na Aaya,
Aa Gaye Tum Is Dil Mein Pehali Najar Mein,
Bas Humein Aapke Dil Mein Samana Na Aaya.
खोया इतना कुछ कि हमें पाना न आया,
प्यार कर तो लिया पर जताना न आया,
आ गए तुम इस दिल में पहली नज़र में,
बस हमें आपके दिल में समाना ना आया।


Tamam Umr Usi Ke Khayalon Mein Gujri,
Jise Umr Bhar Mera Khayal Na Aaya.
तमाम उम्र उसी के ख्यालो में गुजरी,
जिसे उम्र भर मेरा ख्याल न आया।


Toota Ho Dil To Dukh Hota Hai,
Karke Mohabbat Kisi Se Ye Dil Rota Hai,
Dard Ka Ehsaas To Tab Hota Hai Jab,
Kisi Se Mohabbat Ho Aur,
Uske Dil Mein Koi Aur Hota Hai.
टूटा हो दिल तो दुःख होता है,
करके मोहब्बत किसी से ये दिल रोता है,
दर्द का एहसास तो तब होता है जब,
जब किसी से मोहब्बत हो और,
उसके दिल में कोई और होता है।
-Best Sad Shayari Sms-


Sanson Mein Bhi Shamil Ho, Lahu Mein Bhi Rava Ho,
Magar Mere Haatho Ki Lakeero Mein Kahan Ho.
सासों में भी शामिल हो, लहू में भी रवा हो,
मगर मेरे हाथो की लकीरो में कहा हो।


Ek Sawaal Puchti Hai Meri Rooh Aksar,
Maine Dil Lagaya Hai Ya Zindgi Daav Par.
एक सवाल पूछती है मेरी रूह अक्सर,
मैंने दिल लगाया है या ज़िंदगी दाँव पर।

Sad Shayari, Ek Sawaal Puchti Hai Meri Rooh Aksar
Sad Hindi Shayari

Tum Khas Nahi Ho Magar Har Sans Mein Ho,
Rubaru Nahi Ho Magar Har Ehsaas Mein Ho,
Miloge Ya Nahi Magar Meri Har Talash Mein Ho,
Chahe Poori Ho Ya Na Ho Magar Har Aas Mein Ho,
Door Hi Sahi Tum Magar Fir Bhi Paas He Ho.
तुम खास नहीं हो मगर हर सांस में हो,
रूबरू नहीं हो मगर हर एहसास में हो,
मिलोगे या नहीं मगर मेरी हर तलाश में हो,
चाहे पूरी हो या ना हो मगर हर आस में हो,
दूर ही सही तुम मगर फिर भी पास ही हो।
-Very Sad Shayari-


Suni Ek Bhi Baat Usne Na Meri,
Suni Maine Saare Zamane Ki Baatein.
सुनी एक भी बात उसने न मेरी,
सुनी मैंने सारे ज़माने की बातें।


You may also like:

Leave a Reply