Zindagi Ka Aaina Jab Bhi Uthaya Karo,
Pahle Khud Dekho Phir Auron Ko Dikhaya Karo.
ज़िन्दगी का आइना जब भी उठाया करो,
पहले खुद देखो फिर औरों को दिखाया करो।
-Shayari in Two Line in Hindi-
Tarakki Ki Fasal Ham Bhi Kaat Lete,
Thode Se Talve Agar Ham Bhi Chaat Lete.
तरक्की की फसल हम भी काट लेते,
थोड़े से तलवे अगर हम भी चाट लेते।
Phir Se Mile Wo Aaj Ajnabi Bankar,
Aur Humein Aaj Phir Se Mohabbat Ho Gayi.
फिर से मिले वो आज अजनबी से बनकर,
और हमें आज फिर से मोहब्बत हो गई।
Phool Chahe The Magar Hath Mein Aaye Pathar,
Humne Aghosh-E-Mohabbat Mein Sulaye Pathar.
फूल चाहे थे मगर हाथ में आये पत्थर,
हमने अघोष-ए-मोहब्बत में सुलाए पत्थर।
-Short Hindi Shayari-
Achcha Yekeen Nahi Hai To Kashti Duba Ke Dekh,
Ek Tu He Nakhuda Nahi Zalim Khuda Bhi Hai.
अच्छा यकीन नहीं है तो कश्ती डुबा के देख,
एक तू ही नाखुदा नहीं ज़ालिम खुदा भी है।
Mere He Hathon Pe Likhi Hai Taqdeer Meri,
Aur Meri He Taqdeer Par Mera Bus Nahi Chalta.
मेरे ही हाथों पर लिखी है तकदीर मेरी,
और मेरी ही तकदीर पर मेरा बस नहीं चलता।
Ab Kisi Aur Se Mohabbat Kar Lun Ae Sanam,
Shikayat Mat Karna Ye Buri Aadat Mujhe Tumse Lagi Hai.
अब किसी और से मोहब्बत कर लूं ऐ सनम,
शिकायत मत करना ये बुरी आदत मुझे तुमसे लगी है।
-2 Line Shayari-
Itne Masharoof Kahan Ho Gaye Ho Tum,
Aaj-Kal To Dil Dukhane Bhi Nahin Aate.
इतने मशरूफ़ कहाँ हो गये हो तुम,
आज-कल तो दिल दुखाने भी नहीं आते।
Kya Kahiye Kis Tarah Se Jawani Gujar Gayi,
Badnaam Karne Aayi Thi Badnaam Kar Gayi.
क्या कहिये किस तरह से जवानी गुजर गई,
बदनाम करने आई थी बदनाम कर गई।
Rab Jane Kaun Sa Gunaah Kar Baithe Hain Ham,
Ki Tamannaon Wali Umar Mein Tajurbe Mil Rahe Hain.
रब जाने कौन सा गुनाह कर बैठे हैं हम,
कि तमन्नाओं वाली उम्र में तजुर्बे मिल रहे है।
-Best Shayari in Two Line Hindi Mein-
You may also like: