Aansoo Shayari – Rahte Hain Aansoo Meri Ankhon Mein

Taiyaar Rahte Hain Aansoo Meri Ankhon Mein Aksar,
Teri Yaadon Ka Koee Waqt Muqarrar Jo Nahin Hai.
तैयार रहते हैं आँसू मेरी आँखों में अक्सर,
तेरी यादों का कोई वक़्त मुक़र्रर जो नहीं है।
-Aansoo Shayari in Hindi-

Aansoo Shayari, Rahte Hain Aansoo Meri Ankhon Mein


Yun Kisi Ki Yaad Mein Aansoo Bahaana Fizool Hai,
Itne Anmol Aansoo Khona Fizool Hai,
Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nishaar Hain,
Unke Liye Kyon Aansoo Bahaana Jinke Aashiq Hazaar Hain.
यूँ किसी की याद में आँसू बहाना फ़िज़ूल है,
इतने अनमोल आँसू खोना फिज़ूल हैं,
रोना तो उनके लिए जो हम पर निशार है,
उनके लिए क्यों आँसू बहाना जिनके आशिक हज़ार हैं।


Mere Aansu Ki Keemat Jo Samjh Lee Unhonne,
Unhen Bhoolkar Bhi Muskurate Rahe Ham.
मेरे आँसू की कीमत जो समझ ली उन्होंने,
उन्हें भूलकर भी मुस्कुराते रहे हम।


Na Jane Kyu Hume Aansu Bahana Nahi Aata Hai,
Na Jane Kyu Haal-E-Dil Sunaana Nahi Aata,
Kyu Sab Dost Bichhad Gaye Humse,
Shayad Hume Hi Saath Nibhana Nahin Aata.
न जाने क्यों हमें आँसू बहाना नहीं आता,
न जाने क्यों हाल-ऐ-दिल सुनाना नहीं आता,
क्यों सब दोस्त बिछड़ गए हमसे,
शायद हमें ही साथ निभाना नहीं आता।
-Best Aansoo Shayari-


Meri Ankhon Se Gire Hain Chnd Lamhe,
Tere Liye Hian Ae Pani, Mere Liye Hain Aansoo.
मेरी आँखों से गिरे हैं चन्द लम्हे,
तेरे लिये हैं ये पानी, मेरे लिये हैं आँसू।

Best Aansoo Shayari, Tere Liye Hian Ae Pani Mere Liye Hain Aansoo
Shayari on Ashq in Hindi

Kuch Andaaz Mohabbat Ke Bhi Hote Hain,
Jaagti Aankhon Ke Bhi Kuch Khwaab Hote Hain,
Gam Mein Hi Aansoo Bahe Ae Jaruri To Nahin,
Sailaab Muskurati Aankhon Mein Bhi Hote Hain.
कुछ अंदाज़ मोहब्बत के भी होते हैं,
जागती आँखों के भी कुछ ख्वाब होते हैं,
ग़म में ही आँसू बहे ऐ जरुरी तो नहीं,
सैलाब मुस्कुराती आँखों में भी होते हैं।
-Aansoo Shayari Hindi Mein-


Wo Ashq Ban Ke Meri Chashm-E-Tar Mein Rehta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai.
वो अश्क़ बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।


You may also like:

Leave a Reply