Hindi Maa Shayari – Maa Tere Doodh Ka Haq

Maa Tere Doodh Ka Haq Mujhse Ada Kya Hoga,
Tu Naraaj Hai To Khush Mujhse Khuda Kya Hoga.
माँ तेरे दूध का हक मुझसे अदा क्या होगा,
तू नाराज है तो खुश मुझसे खुदा क्या होगा।
-Best Hindi Maa Shayari-

Maa Shayari, Maa Tere Doodh Ka Haq


Gin Leti Hai Din Bagair Mere Gujare Hain Kitne,
Bhala Kaise Keh Du Ki Maa Anparh Hai Meri.
गिन लेती है दिन बगैर मेरे गुजारें हैं कितने,
भला कैसे कह दूं कि माँ अनपढ़ है मेरी।


Kisi Ko Ghar Mila Hisse Main
Ya Koi Dukan Aayi,
Main Ghar Main Sab Se Chhota Tha
Mere Hisse Mein Maa Aayi.
किसी को घर मिला हिस्से में
या कोई दुकान आयी,
मैं घर में सब से छोटा था
मेरे हिस्से में माँ आई।
-Top Shayari on Maa-


Kisi Bhi Mushkil Ka Ab Kisi Ko Hal Nahi Milta,
Shayad Ab Ghar Se Koi Maa Ke Pair Chhukar Nahi Nikalta.
किसी भी मुश्किल का अब किसी को हल नहीं मिलता,
शायद अब घर से कोई माँ के पैर छूकर नहीं निकलता।


Uske Hontho Pe Kabhi Baddua Nahi Hoti,
Bas Ek Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nahi Hoti.
उसके होंठों पे कभी बद्दुआ नहीं होती,
बस इक माँ है जो कभी खफा नहीं होती।

Maa Shayari, Uske Hontho Pe Kabhi Baddua Nahi Hoti
Maa Shayari in Hindi

Ruh Ke Rishto Ke Ye Gehraiyan To Dekhiye,
Chot Lagti Hai Mujhe Aur Chillati Hai Maa,
Main Khushiyon Mein Maa Ko Bhale He Bhool Jau,
Jab Musibat Aa Jaye To Yaad Aati Hai Maa.
रूह के रिश्तों की ये गहराइयाँ तो देखिये,
चोट लगती है मुझे और चिल्लाती है माँ,
मैं खुशियों में माँ को भले ही भूल जाऊ,
जब मुसीबत आ जाए तो याद आती है माँ।
-Hindi Maa Shayari-


You may also like:

Leave a Reply