Wo Kareeb Bahut Hai Magar Dooriyon Ke Saath,
Ham Jee Rahe Hain Magar Majburiyo Ke Saath.
वो क़रीब बहुत है मगर दूरियों के साथ,
हम जी रहे हैं मगर मजबूरियों के साथ।
-Doori Shayari in Hindi-
Galtiyon Se Juda Tu Bhi Nahin Aur Main Bhi Nahi,
Dono Insaan Hain Khuda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi,
Galatfahmiyon Ne Kar Di Donon Mein Doorian Paida,
Varna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahin Main Bhi Nahi.
गलतियों से जुदा तू भी नहीं और मैं भी नही,
दोनों इंसान हैं ख़ुदा तू भी नहीं, मैं भी नही,
गलतफहमियों ने कर दी दोनों में दूरियाँ पैदा,
वरना फितरत का बुरा तू भी नहीं मैं भी नहीं।
Dooriya Ka Gam Nahi,
Agar Faasle Dil Main Na Hon,
Najdeekiyan Bekaar Hain,
Agar Dil Main Jagah Na Ho.
दूरियों का ग़म नहीं,
अगर फ़ासले दिल में ना हों,
नज़दीकियाँ बेकार हैं,
अगर दिल में जगह ना हो।
-New Doori Shayari-
Sabuton Ki Zaroorat Pad Rahi Hai,
Yani Rishton Mein Doori Badh Rahi Hai.
सबूतों की ज़रूरत पड़ रही है,
यानी रिश्तों में दूरी बढ़ रही है।
Hamaare Daramiyan Ye Dooriyan Na Hoti,
Aur Kuchh Meri Majburiyan Na Hoti,
Rahte Na Yoon Mere Haath Khali,
Agar Zamaane Ki Ye Bediyaan Na Hoti.
हमारे दरमियाँ ये दूरियाँ ना होती,
और कुछ मेरी मजबूरियां ना होती,
रहते ना यूँ मेरे हाथ खाली,
अगर ज़माने की ये बेड़ियाँ ना होती।
-Shayari on Dooriyan-
Na Door Hamse Jaya Karo, Dil Tadap Jaata Hai,
Aapke Khyaalon Mein Hi Hamara Din Guzar Jaata Hai,
Ya Dil Poochta Hai Ek Aapse Sawaal,
Door Rahkar Bhi Kya Aapko Hamara Khyaal Aata Hai?
ना दूर हमसे जाया करों, दिल तड़प जाता है,
आपके ख्यालों में ही हमारा दिन गुजर जाता है,
ये दिल पूछता है आपसे एक सवाल,
दूर रहकर भी क्या आपको हमारा ख्याल आता है?
You may also like: