Chand Shayari in Hindi – Hum Chand Dhundhte Rahe

Raat Bhar Aasman Mein Hum Chand Dhundhte Rahe,
Chand Chupke Se Mere Aangan Mein Utar Aaya.
रात भर आसमां में हम चाँद ढूढ़ते रहे,
चाँद चुपके से मेरे आँगन में उतर आया।
-Best Chand Shayari in Hindi-

Chand Shayari Hindi, Hum Chand Dhundhte Rahe


Tere Husn Ke Daman Ko Humne Sanwar Kar Dekha Hai,
Chand Dekho Aaj Fir Falak Se Utar Kar Dekha Hai.
तेरे हुस्न के दामन को हमने संवर कर देखा है,
चाँद देखो आज फिर फलक से उतर कर देखा है।


Ik Ada Aapki Dil Churane Ke,
Ik Ada Aapki Dil Mein Bas Jane Ke,
Chehra Aapka Chand Sa Aur Ek,
Hasrat Hamari Us Chand Ko Pane Ke.
इक अदा आपकी दिल चुराने की,
इक अदा आपकी दिल मे बस जाने की,
चेहरा आपका चाँद सा और एक,
हसरत हमारी उस चाँद को पाने की।


Chand Mein Nazar Kaise Aaye Teri Soorat Humko,
Aandhiyon Se Aasmaan Ka Rang Maila Ho Gaya.
चाँद में नज़र कैसे आए तेरी सूरत हमको,
आँधियों से आसमाँ का रंग मैला हो गया।
-Chand Shayari 2 Line-


Mera Aur Us Chand Ka Muqaddar Ek Jaisa Hai,
Wo Taaron Mein Tanha Main Hazaro Mein Tanha.
मेरा और उस चाँद का मुक़द्दर एक जैसा है,
वो तारो में तन्हा मैं हजारो में तन्हा।

Best Chand Shayari, Chand Ka Muqaddar Ek Jaisa Hai
Best Shayari on Moon

Poocho Is Chaand Se Kaise Sisakte The Ham,
Un Tanha Raaton Mein Takiye Se Lipatkar Rote The Ham,
Tune To Dekha Nahin Chodne Ke Baad,
Dil Ka Har Ek Raaz Chand Se Kahte The Ham.
पूछो इस चाँद से कैसे सिसकते थे हम,
उन तन्हा रातों में तकिये से लिपटकर रोते थे हम,
तूने तो देखा नहीं छोड़ने के बाद,
दिल का हर एक राज़ चाँद से कहते थे हम।
-New Chand Shayari Hindi-


You may also like:

Leave a Reply