Sahil Se Toofaan Ka Tamasha Dekhne Walo,
Sahil Se Andaza-E-Toofan Nahin Hota.
साहिल से तूफ़ान का तमाशा देखने वालो,
साहिल से अंदाज़ा-ए-तूफ़ाँ नहीं होता।
-Inspirational Shayari in Hindi-
Saahil Pe Pahunchne Se Inkaar Kisko Hai Lekin,
Toofano Se Ladne Ka Maza Hi Kuchh Aur Hai,
Kahte Hai Ke Kismat Khuda Likhta Hai Lekin,
Use Mita Ke Khud Likhne Ka Maja Hi Kuchh Aur Hai.
साहिल पे पहुंचने से इनकार किसको है लेकिन,
तूफ़ानो से लड़ने का मज़ा ही कुछ और है,
कहते है, कि किस्मत खुदा लिखता है लेकिन,
उसे मिटा के खुद लिखने का मजा ही कुछ और है।
Jisme Ubaal Ho Aisa Khoon Chahiye,
Jeet Ke Khatir Aisa Junoon Chahiye,
Bo Aasmaan Bhi Aaega Zameen Par,
Bas Iradon Mein Aisi Goonj Chahiye.
जिसमे उबाल हो ऐसा खून चाहिये,
जीत की खातिर ऐसा जुनून चाहिए,
वो आसमान भी आएगा ज़मीन पर,
बस इरादों में ऐसी गूंज चाहिये।
-Motivational Hindi Shayari-
Sabab Talash Karo Khud Ke Haar Jaane Ka,
Kisi Ki Jeet Pe Rone Se Kuchh Nahi Hoga.
सबब तलाश करो ख़ुद के हार जाने का,
किसी की जीत पर रोने से कुछ नहीं होगा।
Pani Ko Barf Banne Mein Waqt Lagta Hai,
Sooraj Ko Nikalne Mein Waqt Lagta Hai,
Kismat Ko To Ham Badal Nahi Sakte,
Apne Hauslo Se Kismat Badlne Mein Waqt Lagta Hai.
पानी को बर्फ़ बनने में वक्त लगता है,
सूरज को निकलने में वक्त लगता है,
किस्मत को तो हम बदल नही सकते,
अपने हौसलो से किस्मत बदलने में वक्त लगता है।
-Best Inspirational Shayari-
Sangharsh Ke Raaste Par Jo Veer Chalta Hai,
Wo Hi Is Sansar Ko Badalta Hai,
Jisne Andhkaar Musibat Aur Khud Se Jang Jeeti,
Surya Bankar Bahi Nikalta Hai.
संघर्ष के रास्तें पर जो वीर चलता हैं,
वो ही इस संसार को बदलता हैं,
जिसने अन्धकार, मुसीबत और ख़ुद से जंग जीती,
सूर्य बनकर वही निकलता हैं।
You may also like: