Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
Maine Jannat To Nahi Dekhi Par Apani Maa Dekhi Hai.
चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी पर अपनी माँ देखी है।
-New Maa Shayari in Hindi-
Nahi Ho Sakta Kad Tera Uncha Kisi Bhi Maa Se Ai Khuda,
Tu Jise Aadmi Banata Hai Woh Use Insaan Banati Hai.
नहीं हो सकता कद तेरा ऊँचा किसी भी माँ से ए खुदा,
तू जिसे आदमी बनाता है, वो उसे इन्सान बनाती है।
Khali Khali Sa Mujhe Yeh Ghar Lagta Hai,
Maa Jab Nahi Hoti To Bahut Darr Lagta Hai.
खाली-खाली सा मुझे ये घर लगता है,
माँ जब नहीं होती तो बहुत डर लगता है।
-Maa Shayari in Hindi-
Meri Tamannaah Hai Ki M Phir Se Farishta Ho Jaun,
Maa Se Is Tarah Lipat Jaun Ki Bachcha Ho Jaun.
मेरी तमन्ना है कि मैं फिर से फ़रिश्ता हो जाऊँ,
माँ से इस तरह लिपट जाऊँ कि मैं बच्चा हो जाऊँ।
Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa,
Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.
उमर भर तेरी मोहब्बत मेरी खिदमतगार रही माँ,
मैं तेरी खिदमत के काबिल जब हुआ तू चली गयी माँ।
-Best Shayari on Maa-
Chand Ki Chandni Me Bhi Andhera Nazar Aayega,
Maa Ki Aankhon Me Dekh Lo, Baha Ujala Nazar Aayega.
चांद की चांदनी मे भी अंधेरा नजर आयेगा,
माँ की आखों मे देख लो, वहाँ उजाला नजर आयेगा।
You may also like: