Shayari on Maa Hindi Me – Maa Ek Baar Muskura De

Sar Pe Jo Haath Fere To Himmat Mil Jaye,
Maa Ek Baar Muskura De To Jannat Mil Jaye.
सर पे जो हाथ फेरे तो हिम्मत मिल जाये,
माँ एक बार मुस्कुरा दे तो जन्नत मिल जाये।
-Best Shayari on Maa Hindi Me-

Shayari on Maa Hindi Me, Maa Ek Baar Muskura De


Wo To Likha Ke Layi Hai Kismat Mein Jagna,
Maa Kaise So Sakegi Ki Beta Safar Mein Hai.
वो तो लिखा के लाई है किस्मत में जागना,
माँ कैसे सो सकेगी कि बेटा सफ़र में है।


Shahar Mein Aa Kar Padhne Wale Ye Bhool Gaye,
Kis Ki Maa Ne Kitna Zevar Becha Tha.
शहर में आ कर पढ़ने वाले ये भूल गए,
किस की माँ ने कितना ज़ेवर बेचा था।
-Maa Shayari in Hindi Sms-


Yun To Maine Bulandiyon Ke Har Nishaan Ko Chuaa,
Jab Maa Ne God Mein Uthaya To Aasman Ko Chuaa.
यूँ तो मैंने बुलन्दियों के हर निशान को छुआ,
जब माँ ने गोद में उठाया तो आसमान को छुआ।


Sab Kuch Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ke Bas Maa-Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Jo Gir Jaye Ek Baar Dali Se,
Ye Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.
सब कुछ मिल जाता है दुनिया में मगर,
याद रखना की बस माँ-बाप नहीं मिलते,
मुरझा कर जो गिर जाए एक बार डाली से,
ये ऐसे फूल हैं जो फिर नहीं खिलते।
-Mother’s Day Hindi Shayari-


Jab Bhi Kashti Meri Sailaab Mein Aa Jaati Hai,
Maa Dua Karti Hui Mere Khwab Mein Aa Jaati Hai.
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है,
माँ दुआ करती हुई मेरे ख्वाब में आ जाती है।

Maa Shayari, Maa Dua Karti Hui Mere Khwab Mein


Kal Maa Ki God Mein, Aaj Maut Ke Aagosh Mein,
Ham Ko Duniya Mein Ye Do Waqt Bade Suhane Se Mile.
कल माँ की गोद में, आज मौत के आग़ोश में,
हम को दुनिया में ये दो वक़्त बड़े सुहाने से मिले।
-New Shayari on Maa Hindi Me-


Bhookh To Ek Roti Se Bhi Mit Jaati Maa,
Agar Thali Ki Wo Roti Tere Haath Ke Hoti.
भूख तो एक रोटी से भी मिट जाती माँ,
अगर थाली की वो रोटी तेरे हाथ की होती।


You may also like:

Leave a Reply