Dosti Ki Shayari – Waqt Badle Par Yaar Na Badle

Waqt Ki Yaari Toh Har Koi Kar Leta Hai Dost,
Mazaa Toh Tab Hai Jab Waqt Badle Par Yaar Na Badle.
वक्त की यारी तो हर कोई करता है मेरे दोस्त,
मजा तो तब है जब वक्त बदले पर यार ना बदले।
-Dosti Ki Shayari Hindi Me-

Dosti Shayari, Waqt Badle Par Yaar Na Badle


Bolti Hai Dosti Chup Rahta Hai Pyar,
Hansati Hai Dosti Rulata Hai Pyar,
Milati Hai Dosti Juda Karta Hai Pyar,
Fir Bhi Log Kyu Dosti Chhodkar Karte Hain Pyar.
बोलती है दोस्ती चुप रहता है प्यार,
हँसाती है दोस्ती रुलाता है प्यार,
मिलाती है दोस्ती जुदा करता है प्यार,
फिर भी लोग क्यों दोस्ती छोड़कर करते हैं प्यार।


Apni Zindgi Ke Kuchh Alag Hi Usool Hain,
Dosti Ki Khatir Hamein Kante Bhi Kabool Hain,
Hans Kar Chal Denge Kaanch Ke Tukdo Par Bhi,
Agar Dost Kahe Yeh Dosti Mein Bichhaye Phool Hain.
अपनी ज़िंदगी के कुछ अलग ही उसूल हैं,
दोस्ती की खातिर हमें काँटे भी क़बूल हैं,
हँस कर चल देंगे काँच के टुकड़ों पर भी,
अगर दोस्त कहे यह दोस्ती में बिछाये फूल हैं।
-Best Friendship Shayari in Hindi-


Deeye To Aandhi Mein Bhi Jala Karte Hain,
Gulaab To Kaanto Mein Bhi Khila Karte Hain,
Khushnasib Bahut Hoti Hai Wo Shaam,
Jisme Dost Aap Jaise Mila Karte Hain.
दीये तो आँधी में भी जला करते हैं,
गुलाब तो काँटो में भी खिला करते हैं,
खुशनसीब बहुत होती है वो शाम,
जिसमें दोस्त आप जैसे मिला करते हैं।


Yaadon Ke Bhanwar Mein Ek Pal Humara Ho,
Khilte Chaman Mein Ek Gul Humara Ho,
Jab Yaad Karein Aap Apne Doston Ko,
Unn Naamon Mein Ek Naam Humara Ho.
यादों के भंवर में एक पल हमारा हो,
खिलते चमन में एक गुल हमारा हो,
जब याद करें आप अपने दोस्तों को,
उन नामों में एक नाम हमारा हो।
-Dosti Shayari Status-

Dosti Shayari, Jab Yaad Karein Aap Apne Doston Ko
Dosti Shayari in Hindi

Honthon Pe Ulfat Ke Fasane Nahi Aate,
Jo Beet Gaye Phir Woh Jamaane Nahi Aate,
Dost Hi Hote Hain Doston Ke Humdard,
Koyi Farishte Yehan Saath Nibhane Nahi Aate.
होंठों पे उल्फत के फ़साने नहीं आते,
जो बीत गए फिर वो ज़माने नहीं आते,
दोस्त ही होते हैं दोस्तों के हमदर्द,
कोई फ़रिश्ते यहाँ साथ निभाने नहीं आते।
-Best Dosti Ki Shayari-


Gun-Gunana Toh Takdir Mein Likha Kar Laye The,
Khil-Khilana Doston Se Tohfe Mein Mil Gaya,
गुन-गुनाना तो तकदीर में लिखा कर लाए थे,
खिल-खिलाना दोस्तों से तोहफ़े में मिल गया।


You may also like:

Leave a Reply