Dil Shayari – Dhadkte Patthar Ko Log Dil Samjhte Hain

Har Dhadkte Patthar Ko Log Dil Samjhte Hain,
Umr Beet Jaati Hai Dil Ko Dil Banane Mein.
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं,
उम्र बीत जाती है दिल को दिल बनाने में।
-Best Dil Shayari in Hindi-

Dil Shayari, Dhadkte Patthar Ko Log Dil Samjhte Hain


Dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai,
Aakhir Is Dard Ki Dava Kya Hai,
Hamko Unse Hai Ummid Wafa Ki,
Jo Jane Hi Nahi Ki Wafa Kya Hai.
दिल-ए-नादान तुझे हुआ क्या है,
आखिर इस दर्द की दवा क्या है,
हमको उनसे है उम्मीद वफ़ा की,
जो जानते ही नहीं कि वफ़ा क्या है।


Jitna Jalaya Hai Pyaar Mein Tumne Hamko,
Dil To Chahta Hai Ki Main Bhi Jalaun Tumko.
जितना जलाया है प्यार में तुमने हमको,
दिल तो चाहता है कि मैं भी जलाऊं तुमको।


Na Poochh Dil Ki Hakiqat, Magar Ye Kahta Hai,
Wo Bhi Bekaraar Rahe Jisne Bekarar Kiya Hai.
ना पूछ दिल की हकीक़त, मगर ये कहता है,
वो भी बेक़रार रहे जिसने बेक़रार किया है।
-Dil Shayari in Hindi-


Hamse Koi Khata Ho Jaye To Maaf Karna,
Ham Yaad Na Kar Payein To Maaf Karna,
Dil Se To Ham Aapko Kabhi Bhulte Nahi,
Par Yeh Dil Hi Ruk Jaaye To Maaf Karna.
हमसे कोई खता हो जाये तो माफ़ करना,
हम याद न कर पायें तो माफ़ करना,
दिल से तो हम आपको कभी भूलते नही,
पर ये दिल ही रुक जाये तो माफ़ करना।


Iss Dil Ne Zid Bhi Ki, To Ishq Karne Ki,
Aaj Kahta Hai Ke Tumne Mujhe Roka Bhi Nahi.
इस दिल ने ज़िद भी की, तो इश्क करने की,
आज कहता है कि तुमने मुझे रोका भी नहीं।

Dil Shayari, Iss Dil Ne Zid Bhi Ki, To Ishq Karne Ki
Dard-E-Dil Shayari Hindi

Dil Paagal Hai Roj Nayi Nadaaniyan Karta Hai,
Aag Mein Aag Milaata Hai Fir Pani Se Bujhata Hai.
दिल पागल है रोज़ नयी नादानियाँ करता है,
आग में आग मिलाता है फिर पानी से बुझाता है।


Jisne Hamko Chaha, Use Ham Chah Na Sake,
Jisko Chaha, Use Ham Paa Na Sake,
Yeh Samajhalo Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur Apna Bacha Na Sake.
जिसने हमको चाहा, उसे हम चाह न सके,
जिसको चाहा, उसे हम पा न सके,
यह समझलो दिल टूटने का खेल है,
किसी का तोड़ा और अपना बचा न सके।
-Tute Dil Ki Shayari-


You may also like:

Leave a Reply