Hindi Shayari on Life – Zindagi Kahin To Pahucha De

Nafrat Se Hone Lagi Hai Is Safar Se Ab,
Zindagi Kahin To Pahucha De Khatm Hone Se Pehle.
नफरत सी होने लगी है इस सफ़र से अब,
ज़िन्दगी कहीं तो पहुँचा दे खत्म होने से पहले।
-Best Hindi Shayari on Life-

Hindi Shayari on Life, Zindagi Kahin To Pahucha De


Kiske Naqshe-Kadam Pe Hai Tu Ae Zindagi,
Waqt Si Raftaar Bhi Nahin,
Zamane Se Tujhe Pyar Bhi Nahin.
किसके नक़्शे-कदम पे है तू ए ज़िन्दगी,
वक़्त सी रफ़्तार भी नहीं,
ज़माने से तुझे प्यार भी नहीं।


Mujhe Zindagi Ka Itna Tajurba To Nahin Hai Dosto,
Par Log Kahte Hain Yehan Sadgi Se Katti Nahi.
मुझे जिंदगी का इतना तजुर्बा तो नहीं है दोस्तों,
पर लोग कहते हैं यहाँ सादगी से कटती नहीं।
-Two Line Zindagi Shayari-


Na Raaste Ne Sath Diya,
Na Manzil Ne Intzaar Kiya,
Main Kya Likhun Apni Zindagi Par,
Mere Saath To Umeedon Ne Bhi Mazak Kiya.
ना रास्ते ने साथ दिया,
ना मंजिल ने इंतजार किया,
मैं क्या लिखूं अपनी जिंदगी पर,
मेरे साथ तो उम्मीदों ने भी मजाक किया।


Khwabon Par Ikhtiyaar Na Yadon Pe Zoor Hai,
Kab Zindagi Guzari Hai Apane Hisaab Mein.
ख़्वाबों पर इख़्तियार न यादों पे ज़ोर है,
कब ज़िंदगी गुज़ारी है अपने हिसाब में।

Life Shayari, Kab Zindagi Guzari Hai


Agar Koi Cheez Taqdeer Mein Nahi Bhi Likhi Hai,
To Bhi Duwa Zaroor Karni Chahiye,
Kyu Ki Taqdeer Ke Samne Ham Bebas Hain,
Lekin Taqdir Likhne Wala Nahi.
अगर कोई चीज़ तक़दीर में नही भी लिखी है,
तो भी दुआ जरूर करनी चाहिए,
क्योंकि तक़दीर के सामने हम बेबस हैं,
लेकिन तक़दीर लिखने वाला नही।
-Hindi Shayari on Life Status-


Parhne Walon Ke Kami Ho Gayi Hai Aaj Is Zamane Mein,
Varna Meri Zindagi Ka Har Panna Puri Kitaab Hai.
पढ़ने वालों की कमी हो गयी है आज इस ज़माने में,
वरना मेरी ज़िन्दगी का हर पन्ना पूरी किताब है।


You may also like:

Leave a Reply